LTE और VoLTE क्या है LTE और VoLTE में अंतर क्या होता है

0
329
LTE और VoLTE क्या है और इन दोनों में क्या अंतर है ?

Aaj Bajar mein a rahe Lagbhag sabhi  smartphones 4G Volte yah 4G LTE support karte Hain. Lekin yah kam kaise karte hain? Inmein Antar kya hai ? Aise Question har Kisi ke man mein uthe honge. Aur to aur  aajkal har koi free voice Calling aur free Unlimited 4G internet ke offers ke baare mein log jyada baat kar rahe hain. Jaisa ki ham sabhi log jante Hain aaj ka samay internet, 4G aur smartphone ka hai. Aap logon ne jab koi  naya smartphone kharida hoga tab aapko Uske cover per LTE aur VOLTE ka nishan jarur dikha hoga. Aapke man mein yeh jarur question utha Hoga ki aakhir yeh LTE aur VOLTE kya hai  aur kaam kaise karta hai. To inhi sabhi doubts ko clear karne ke liye  aaj meine yeh article likha hai. Aaj mei  aap logon ko in donon ke Technology  ke bare mein bhi bataunga aur donon mein kya Antar hai aur yeh donon mein kaun jyada behtar hai yeh bhi bataunga. To fir chaliye jante Hain.

4G Volte kya hai ?
What is 4G Volte ?

4G Volte ka sabse jaruri kam hai Call Connectivity ko sudharna, volt mein  users ko calling karne par 3G aur 2G se jyada yanha acchi connectivity milati hai, ishi vajah se volte se ki gai calling ko HD Voice Calling bhi Kaha jata hai. Mein aapko thoda jyada aasani se bataun to Volte mein ham voice calls karne ke liye ham 4G LTE Network istemal karte Hain naki 2G or 3G Network ka. Jyadatar logon ko iska Gyan Nahin hota hai.

Volte ka Full Form kya hai ?
What is the Full Form of Volte ?

Voice Over Network

Volte ke fayde Hindi mein ?
Benefits of Volte in hindi ?

1. Video Calling : Volt ke istemal se aap behtarin video call kar sakte hain. Jaisa ki ham jante Hain pahle bhi ham dusre software Jaise Skype Ka istemal Karke video call kar pa rahe the. Par iske aane se  hamein Kisi bhi  third party Application yaa software ki avashyakta Nahin hai.
2. Behtarin Call Quality :  Sabse badi uplabdhi ki baat yahi hai ki isse hame acchi Call Quality milti hai .2G or 3G ke mukable 4G mein  jyada data transfer ho sakta hai jisse Tone Quality mein khaasa fark Dekha ja sakta hai.

3. Behtarin Coverage aur Connectivity : Ham aapko bata de ki 2G or 3G  ke mukabale mein Volt mein calls jyada jaldi aur behtar connect hote Hain. Aur to aur iski frequency  bade buildings ki diwaron ko bhi bhedh sakti hai jidhar 2G or 3G ke signal Nahin pahunchte the.

LTE kya hai ?
What is LTE ?

LTE और VoLTE क्या है LTE और VoLTE में अंतर क्या होता है
LTE और VoLTE क्या है LTE और VoLTE में अंतर क्या होता है

Kai bar logon ko LTE or Volte ka aakhir matlab kya hai logon ko yahi baat pata Nahin Hoti hai. To isliye maine aaj LTE kya hai iski Puri jankari Dene ki koshish ki hai.

LTE yeh ek  mobile technology standard hai. Aap logon ko Lagta hoga ki  jab bhi ham 4G ki baat karte Hain To LTE ki baat hamesha kyon aati hai, aisa isliye kyunki 4G yani  ( Fourth Generation ) yeh naam LTE Technology ko darshane ke liye Diya gaya hai. Donon 4G or LTE Saman hi hai. Yahan ek jaruri baat yeh hai ki LTE mein adhiktam internet speed 100- 50 Mbps tak ho sakti hai, iske atirikt LTE ki Download Capability 100 Mbps tak ho sakti hai, aur Upload Capability 50 Mbps tak ho sakti hai. Halaki iske liye users ko Apne voice call network mein badlav Lana padta hai. Iske liye operator ko alag band istemal karne ki jarurat padati hai.

LTE ka Full Form kya hai ?
What is the Full Form of LTE ?

” Long Term Evolution ”

LTE ka Full Form hindi mein ?
What is the Full Form of LTE in hindi ?

” Dirgh kalik Vikas “

Difference between LTE or Volte :

VOLTE LTE
1.VOLTE ka matlab hota hai Voice Over LTE  jaisa ki humne aapko upar bataya ki LTE mein thoda change karke is feature ko add kiya gaya hai. Volte mein agar aap voice call ya video call karte hain to aap ki Awaaz Clear aati hai jise HD Calling kahate Hain. Jise aap Volte phone se kar sakte hain yaa receive kar sakte hain.1.LTE ko mukhya prakar se Internet ke liye hi design Kiya gaya hai. LTE voice Transmission ko acche se support nahin karta. LTE mein voice call tabhi ho sakta hai jab Internet Connection on ho. LTE or Volte donon 4G network ko pradarshit karte Hain, Iske atirikt aapko yah bhi batana chahie ki  aap Volte mein HD calling kar sakte hain LTE mein Nahin.
2. Inhe mukhyata internet ke liye design kiya gaya hai.2. Inhe mukheyta voice or internet ke liye hi design Kiya gaya hai
3. Yeh voice transmission ko support nahi karta.3. Yah Voice Transmission or data Transmission donon ko support karta hai.
4. Voice Call tabhi ho sakti hai jab Internet Connection chalu rahe Nahin to call drop ho sakti hai.4. Internet Connection ke na hone se bhi voice call kiya ja sakta hai.

Han to doston aaj humne aapko bataya ki LTE or Volt mein kya Antar hai mujhe ummid hai ki meine aapko aur Volt ke bare mein Puri jankari Di hai so friends aap Jaan Gaye honge ki Volt kya hai ? Aapko yeh jankari  kaisi lagi hamen jarur bataen mujhe lagta hai aapko LTE Kya hai samajhne mein koi pareshani Nahin hui hogi. Humne aapko bahut hi aasan aur saral bhasha mein samjhane kya pura prayas Kiya hai. Agar aap is post ke bare mein kuchh puchna chahte Hain To aap humse poochh sakte hain ham jarur aap ki help karenge. Agar aapko yah post Pasand I hai to comment box mein comment Karke hamen jarur bataen, FIR milenge friends aise hi kuchh new post ke sath. Aapka din shubh ho.

 

Do you Know:

( cancer ) कैंसर का खतरा बच्चों में भी बढ़ रहा है |

(MBA) एमबीए कैसे करे ? पूरी जानकारी|